Youm e Fazaiya aaj mulk bhar main milli josh o jazbay say manaya jaraha hai

Karachi: Mulk bhar main air force kay shaheedon aur ghaziyon ko khiraaj e aqqedat pesh karnay kay liye Aaj youm e fazaiya milli josh o jazbay say manaya jaraha hai.

Mulk bhar main youm e fazaiya milli josh o jazbay say manaya jaraha hai, 1965 ki jang main shaeed honay valay Pak fazaiya kay jaanbazon ki qurbaniyan fazaiyan ki tareekh main naqabil faramosh hain.

Pak bharaat 1965 ki jang mian Pak fizaiya kay naqabil e faramosh kirdar ko khiraaj e aqeedat pesh karnay kay liye 7 september ko youm e fazaiya milli josh o jazbay say manaya jata hai, youm e fazaiya yad dilata hai kay jab buzdil bhaarti afvaaj nay Pakistan par hamla kiya to kis tarhan hamaray jaanbaaz dalair shaheenon nay dushman kay hamlay ko paspa kar kay watan e aziz ki aan baan shan ko qaim rakha.

Pak fazaiya nay bhaarti fazaiya kay khilaaf apni karvai 6 september ki sham ko shuru ki aur 7 september ko sham 5 bajay say pehlay dushman kay 53 tayaray tabah karkay naqabil e shikast fazai bartari hasil ki.

Jhapat kar palatna’ palat kar jhapatna aur phir dushman ko bhagnay par majboor kardena yehi vo azam hai jisay youm e fazaiya kay din hamaray shaheen dohratay hain, Pakistani quom apnay jaan baaz shaheenon ko khiraaj aqqedat pesh karnay kay liye aaj kay din taqreebat ka ineqad karay gi, sarkari emaraat par parcham lehraye jatay hain aur shuda ki qabron par phool charhaye jate hain.

Jang september main Pak fazaiya kay is hero Squad leader muhammad mehmood aalam ko ye aizaz hasil hai kay inhon nay 1965 ki Pak Bharaat jang main Sargodha kay mahaz par 5 Indian hunter jungi tayyaron ko ek mint kay andar andar mara gaya jin main say 4 ibtedai 30 seconds kay anadar mar giraye gaye thay aur ye ek aalmi record tha. Is muhim main MM alam sahab F-86 sebor tayara urarahay thay.

Aaj kay din Paksitan air force kay jawan salah shaheed pilot Rashid Minhas ki qabar par bhi haziri di jati hai aur phool charhaye jatay hain’ Rashid Minhas nay 20 August 1971 ko apnay Instructor ki Pak fauj ka tayaradushman sar zameen par lay janay ki sazish ko nakaam banatay huvay tayara Pakistan kay hudood main gira kar dushman ka khuwab khak main mila diya.

Leave a Comment