Saddar Mamnoon Hussain ki Sadarat ka aaj akhri din

Islamabad: Saddar e mumlekat Mamnoon Hussain ki muddat e saddarat ka aaj akhri din hai, vo aaj sadder kay ahuday say sabukdosh hojaingay.

Tafseelat kay mutabiq sadder Mamnoon Hussain apnay ahed e saddarat ki muddat mukammal honay par aaj apnay ahuday say sabukdosh hongay.

Saddar mumlekat ko aiwan e sadder say rukhsati kay moqay par mussalah afvaj ki janib say guard of honour pesh kiya jayega.

Aiwan e sadder kay tarjuman kay mutabiq nau muntakhib sadder Arif Alvi kal Pakistan kay 13 vain sadder ki hesiyat say halaf uthaingay. Chief justice of Pakistan Miyan Saqib Nisar Nau muntakhib sadder say halaf laingay.

Leave a Comment