web analytics
27 C
Karachi
Sunday, August 10, 2025
- Advertisement -

Badqismati say Pakistan quaid kay vision say hat chuka hai, Chief Justice

TOP NEWS

Web Desk
Web Desk
News Stories Posted by ARY News Digital Team

Islamabad: Chief Justice Pakistan miyan saqib nisar ka kehna hai kay bad qismati say Pakistan quaid kay vision say hat chuka hai, mulk ko qanoon ki hukmarani, shafafiyat aur ehtesaab say quaid kay vision par laya jaskta hai.

Tafseelat kay mutabiq supreme court main naye adalati saal par full court refrence ki taqreeb hui, taqreeb say chief justice Pakistan Justice miyan Saqib Nisar nay khitaab kartay huvay kaha kay, ‘‘Badqismati say Pakistan quaid kay vision say hat chuka hai, naqis hukmarani aur na insafi hamaray muashray ka hissa ban chuki hai, mulk qanoon ki hukmarani, shafafiyat aur ehtesaab say quaid kay vision par laya jaskta hai’’.

Chief justice ka kehna tha kay bator muhafiz aaen aur aaeni aur bunyadi insaani huqooq par farz nibhanay ki koshish ki, awami naueyat kay muamlay main gair mulki accounts dohri shauriyat shamil  hain quetta main hazara community kay qatal kay case shamil hian jabkay hospitals main naqis sahuliyaat ki farahimi aur kataas raaj mandir ka muamla shamil hai.

Justice miyan Saqin Nisar nay kaha kay medical, Law colleges ki islahaat, samandarpar Pakistaniyon ko vote ka haq par iqdamat shamil hain, guzishta saal kay aghaz par 37 thousand cases faisla talab thay aur 9 hazaar cases main faislay kiye gaye, faislay 5 saal kay doran case hal karnay ka sab say ziada tanasub hai, baqaya cases ki bari wajah gair zaruri ilyava, jhootay muqadmay hain.

In ka mazeed kehna tha kay supreme court nay gair zaruri iltava par safar bardasht policy apna li hai.

- Advertisement -
- Advertisement -
 

Trending

POLL

After Pakistan's crushing response. Will India ever resort to cowardly attacks like Operation Sindoor again?

- Advertisement -
 

MORE STORIES